Sanket Agarwal

Dooriyan

Sanket Agarwal


Kaise ye dooriyan hai
Darmiyaan majbooriyaan hai
Magar

Kuch kar na sake

Jaane kya ye saza hai
Dil me bechaniyaan hai
Magar
Kuch kar na sake

Duaaon me maang raha
Hun teri hi nazdeekiyan
Na jaane kab hoga khatam
Ye intezaar

Kaise ye dooriyan hai
Darmiyaan majbooriyaan hai
Magar
Kuch kar na sake

Jaane kya ye saza hai
Dil me bechaniyaan hai
Magar
Kuch kar na sake

Tera hath pakad kar chalna
Vo chand tale
Saari un baaton ko mera dil
Yaad kare
Teri bikhri zulfein jab
Chehre par aa gire
Halke se hatana unko bhi
Dil yaad kare

Hawaon me dhund raha
Hun me toh tera hi nasha
Na jaane kab hoga khatam
Ye intezaar

Kaise ye dooriyan hai
Darmiyaan majbooriyaan hai
Magar
Kuch kar na sake

Aa bhi jaa
Ab aa bhi ja
Tu hoke riha
In yaadon se
Haqeeqat me

Aa bhi jaa
Ab aa bhi ja
Tu hoke riha
In yaadon se
Haqeeqat me

Letra enviada por null

Encontrou algum erro na letra? Por favor, envie uma correção >

Compartilhe
esta música

Ouça estações relacionadas a Sanket Agarwal no Vagalume.FM
ESTAÇÕES