Adnan Sami
Página inicial > A > Adnan Sami > Ghabarake Darr Darr Ke

Ghabarake Darr Darr Ke

Adnan Sami

Ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai
deewaare rasta roke toh unase takaraana sikho
jinda rehna hai sar uthaake toh mar jana sikho
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake

jindagaani ko samajh le khel tu, muskuraake mushkilo ko jhel tu
saari duniya mein nahi tujhsa koyi, tu anokha hai yaha, anmol tu
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai

chaahe uss duniya mein tu jaaye kahin
haan julm se khaali nahi koyi jami
tu jo chaahe toh mita de julm ko
shart yeh hai tujhko ho khud par yakin
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai
deewaare rasta roke toh unase takaraana sikho
jinda rehna hai sar uthaake toh mar jana sikho
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai

Encontrou algum erro na letra? Por favor, envie uma correção >

Compartilhe
esta música

Ouça estações relacionadas a Adnan Sami no Vagalume.FM

Mais tocadas de Adnan Sami

ESTAÇÕES
ARTISTAS RELACIONADOS